Wednesday 3 September 2014

Zindaan ki aik sham

sham ke paich-o-kham sitaro’N sy
zeena zeena, utar rahi hy raat


yoo’N saba pass sy guzarti hy
jesy keh de kisi ne payar ke baat


sehan-e-zindaa’N ke by watan ashjaar
sar nigoo’N, mehav hain banany mein


daaman-e-aasma’N pe naqsh-o-nigaar
shana-e-baam pr damakta hy


meharbaa’N chandni ka dast-e-jameel
khaak mein ghul gae hy aab-e-najoom


noor mein ghul gaya hy arsh ka neel
sabz gosho’N mein neelgoo’N saey


lehlahaty hain, jis tarah dil mein
mouj-e-dard-e-firaaq-e-yaar aaey


dil sy paiham khayal kehta hy
itni sheeree’N hy zindagi iss pal


zulm ka zehar gholny waly
kaamraa’N ho sakei’N gy aaj na kal


jalwa gaah-e-visaal ke shammei’N
wo bujha bhi chuky, agar tou kya?


chaand ko gul karei’N, tou hum jaanei’N

No comments:

Post a Comment