Wednesday, 3 September 2014

zindagi mein to sabhi pyaar kiya karte hain

zindagi mein to sabhi pyaar kiya karte hain
main to markar bhi meri jaan tujhe chahoonga
tu mila hai to ye ehsaas huaa hai mujhko
ye meri umr mohabbat ke liye thhodi hai
ek zara sa ghum-e-dauraan ka bhi haq hai jis par
maine wo saans bhi tere liye rakh chhorri hai
tujh pe ho jaaoonga qurban tujhe chahoonga
main to markar bhi meri jaan tujhe chaahoonga
apne jazbaat mein naghmaat rachaane ke liye
maine dhadkan ki tarah dil mein basaaya hai tujhe
main tasavvur bhi judaai ka bhala kaise karoon?
maine kismat ki lakeeron se churaaya hai tujhe
pyar ka banke nigehbaan tujhe chaahoonga
main to markar bhi meri jaan tujhe chaahoonga
teri har chaap se jalte hain khayaalon mein chiraag
jab bhi tu aaye jagaata huaa jaadu aaye
tujhko chhulun to aye jaan-e-tamanna mujhko
dair tak apne badan se teri khushboo aaye
tu bahaaron ka hai unwaan tujhe chaahoonga
main to marrkar bhi meri jaan tujhe chaaoounga….

No comments:

Post a Comment