Tuesday 14 October 2014

aa ke wabasta hae us husn ki yaadein tujh se

aa ke wabasta hae us husn ki yaadein tujh se
jis ne is dil ko pari-khana bana rakha hae
jis ki ulfat mein bhula rakhi thi humne duniya
dehar ko dehar ka afsana bana rakha tha
aashna hae tere qadmon se wo rahein jin par
uski madhosh jawani ne inayat ki hae
kaarvaan quzre haen jin se usee ra’naaee ke
jis ki in aankhon ne be-sood ibadat ki hae
tujhse kheli hae wo mehboob hawayn jin mein
uske malboos ki afsurda mahek baqi hae
tujh pe barsa hae uss baam se mehtaab ka noor
jis mein beeti huwee raaton ki kasak baqi hae
tune dekhi hae wo peshani ,wo rukhsaar wo hont
zindagi jis ke tasavvur mei luuta di humne?
tujh pe uThee haen wo khoyee huwi saahir aankhein
tujhko malool hae kyun umr gan’wa di hum ne

No comments:

Post a Comment