Wednesday 29 October 2014

Faaslaun ko takalluf hai hum se agar

Faaslaun ko takalluf hai hum se agar, hum bhi bay bus nahi, bay sahara nahi
Khud Inhi ko pukarenge hum door se, raaste me agar paoon thak jaenge

Jaise hi Sabz Gumbad nazar aega, bandagi ka qareenah badal jaega
Sar jhuka ne ki fursat milegi kise, khud hi aankhaun se sajde se tapak jaenge

Hum Madine me tanha nikal jaenge, aur galiyaun me qasdan bhatak jaenge
Hum wahaan jakay wapas nahi aenge, dhoond te dhoond te log thak jaenge

Naam Inka jahaan bhi liya jaega, Zikr Inka jahaan bhi kiya jaega
Noor hi Noor seenaun me bhar jaega, Sari Mehfil me Jalwe lapak jaenge

Ai Madine ke zaer Khuda ke liye, daastanay safar mujh ko yoon mat suna
Dil tadap jaega, baat badh jaegi, mere muhtaat aansoon chalak jaenge

Inki Chasme Karam ko hai, iss ki khabar, kis musafir ko hai kitna shauqe safar

Hum ko Iqbal jab bhi ijazat mili, hum bhi AQA ke Darbaar tak jaeng

No comments:

Post a Comment