Wednesday 1 October 2014

Ik Lafz-E-Mohabbat Ka Adna Sa Fasana Hai

Ek lafz-e-mohabbat ka adna saa fasana hai
simte to dil-e-aashiq phaile to zamana hai

Ye kis ka tasavvur hai ye kis ka fasana hai
jo ashk hai ankhon mein tasbeeh ka daana hai

Ham ishq ke maaron ka itna hi fasana hai
rone ko nahin koyi hansne ko zamana hai

Wo aur vafaa-dushman maanege na maana hai
sab dil ki sharaarat hai ankhon ka bahaana hai

Kya husn ne samajha hai kya ishq ne jaana hai
ham khaak-nasheenon ki thokar mein zamaana hai

Wo husn-o-jamaal un ka ye ishq-o-shabaab apna
jeene ki tamannaa hai marne ka zamana hai

Ya wo the khafa ham se ya ham the khafa un se
kal un ka zamana tha aaj apna zamana hai

Ashkon ke tabassum mein aahon ke tarannum mein
masoom mohabbat ka masoom fasaana hai

Ankhon mein nami si hai chup-chup se wo baithe hain
nazuk si nigaahon mein nazuk sa fasaana hai

Hai ishq-e-junoon-pesha haan ishq-e-junoon-pesha
aaj ek sitamagar ko hans hans ke rulaana hai

Ye ishq nahin aasaan itna to samajh leeje
ek aag ka dariya hai aur doob ke jaana hai

Aansu to bahot se hain ankhon mein 'Jigar' lekin
bindh jaaye so moti hai rah jaaye so daana hai

No comments:

Post a Comment