Thursday 9 October 2014

Jab raat ki tanhai dil ban ke dharakti hai

Jab raat ki tanhai dil ban ke dharakti hai
yaadon ke dareechon main chilman si sirakti hai
lauban main chingari jaisay koi rakh jai
yun yaad teri shab bhar seenay main sulagti hai
yun payar nahin chupta, palkon ke jhukanay se
aankhon ke lifafon main tehreer chamakti hai
khush rang parindon ke laut aanay ke din aaye
bichray huway miltay hain jab baraf pighalti hai
shuhrat ki bulandi bhi, pal bhar ka tamasha hai
jis daal pe baithay ho, wo toot bhi sakti hai

No comments:

Post a Comment