Wednesday 29 October 2014

Jitna diya Sarkaar neh mujh ko, utnii merii okat naheen

Jitna diya Sarkaar neh mujh ko, utnii merii okat naheen
Yeh toh karaam hai inka warnaa, mujh meh toh esii baat naheen

Tuh bhi wahi par jake jahaa par, sab kii bigaree bar’tee hai
Ij terii takdeer banana, inke liye kuch baat naheen

Joh hai merii jaan-o-imaa, kya meh unki nazar karun
Paas meray ashko keh ilawa, aur ko’ii sow’ghaat naheen

Ishq shahe bad’ha seh pehle, muflis-o-hasta haal thaa mey
Naam-e-Muhammad key mey qur’ban, ab woh meray haalat naheen

Ghaur tuh kar Sarkaar ki tujh par, kitnii haas inaayat hai
Kausar tuh hai inka sanahaan,

Tahir tuh hai inka sanahaan, yeh ma’mulee baat naheen

No comments:

Post a Comment