Saturday 18 October 2014

kabhi mujh ko saath lekar, kabhi mere saath chal kar

kabhi mujh ko saath lekar, kabhi mere saath chal kar
woh badal gaye achaanak meri zindagi badal kar
huye jis pey meharaban tum koi Khush nasib hoga
meri hasaratein to nikalin mere ansuuon mein Dhal ke
teri zulf-o-rukh kay qurban dil-e-zaar dhuundhata hai
wahi champai ujaale wahi suramai dhundalake
koi phool bun gaya hai koi chaand koi taara
joh chiraag bujh gaye hain teri anjuman mein jal ke
mere dosto khudara mere saath tum bhi dhuundo
woh yahin kahin chhupey hain mere ghum kaa rukh badal kay
teri bejhijhak hansi say na kisi kaa dil ho mailaa
yeh nagar hai aainon kaa yahaan saans le sambhal ke

No comments:

Post a Comment