Thursday 9 October 2014

Khushbu Hai Wo To Chhu Kay Badan Ko Guzar Na Jaye

Khushbu Hai Wo To Chhu Kay Badan Ko Guzar Na Jaye
Jab Tak Meray Wujuud Ke Ander Utar Na Jaye
Khud Phool Ne Bhi Hont Keay Apne Neem-Wa
Chori Tamaam Rung Ki, Titli Ke Sir Na Jaye
Aisa Na Ho Ke Lums, Badan Ki Saza Banay
Jee Phool Ka Hawa Ki Muhabbat Se Bhar Na Jaye
Iss Khauf Se Wo Saath Nibhanay Ke Haq Main Hai
Kho Ker Mujhe Wo Larki Kaheen Dukh Se Mer Na Jaye
Shiddat Ki Nafraton Main Sadaa Jis Ne Saans Li
Shiddat Ka Pyar Pa Kay Khalaa Main Bikher Na Jaye
Uss Waqt Tak Kinaron Se Naddi Char’hi Rahay
Jab Tak Samanderon Ke Badan Main Utar Na Jaye
Palkon Ko Uss Ki, Apne Dopattay Se Ponch Doon
Kal Ke Safar Main, Aaj Ki Gard-e-Safar Na Jaye

No comments:

Post a Comment