Saturday 18 October 2014

Khushi ki rut ho ya gham ka mausam nazar usay dhondati hai har dam

Gaye dinoon ka surag lekar kidhar se aaya kidhar gaya woh
Ajeeb manoos ajnabi thaa mujhe tu hairaan kar gaya woh
Bas ek moti si chab dikha kar bas ek meethi si dhun suna kar
Sitara-e-sham ban kar aaya barang-e-khwab sehar gaya woh
Khushi ki rut ho ya gham ka mausam nazar usay dhondati hai har dam
Woh boo-e-gul thaa ke naghma-e-jaan mere tu dil mein utar gaya woh
Na ab woh yadoon ka charhta dareya na fursaton ki udaas barkha
Yunhi zara si kasak hai dil mein jo zakhm ghehra thaa bhar gaya woh
Kuch ab sambhalne lagi hai jaan bhi badal chala daur-e-asmaaan bhi
Jo raat bhari thee tall gaee hai jo din karra thaa guzar gaya woh
Shikasta-pa raah mein khara hoon gaye dinoo ko bula raha hoon
Jo qafila mera hamsafar thaa misal-e-gard-e-safar gaya woh
Mera tu khoon hogaya hai paani sitamgaroon ki pallak na bheegi
Jo nalaa uttha thaa raat dil se na jane kyon be-assaar gaya woh
Woh mekaday ko jane wala woh raat ki neend urranay wala
Yeh aaj kya us ke dil mein aaee ke shaam hotay hi ghar gaya woh
Woh hijr ki raat ka sitara woh hum nafas hum sukhan hamara
Sada rahay us ka naam pyara suna hai kal raat mar gaya woh
Woh jis ke shanay pe hath rakh kar safar kiya tu ne manziloon ka
Teri gali se na jane kyon aaj sar jhukaye guzar gaya woh
Woh raat ka be-nawa musafir woh tera shayar woh tera ‘Nasir’
Teri gali tak tu hum ne dekha thaa phir na jane kidhar gaya woh …

No comments:

Post a Comment