Thursday 9 October 2014

Mohabbat Rang Badaltii hAi

mOhabbat Rang Badaltii hAi Aur Us Ka kOii Bhi Rang 
mUstaqil Pukhta Nahe hOta NAveed e Sehar Kii kOii 
Daleel e Be-Traan jAisey Kisi mUskil Safar Mein
Qaafila Eik Be-Amaan Jaisey Kabhi Hairaan Sey Lehjey
kOi Dil Bad-Gumaan jAisey jhUlastii dhOop Ka Saaya
Shajar Meharbaan jAisey Kabhi Na Rukney Wala Zindgi Ka 
Karwaan jAisey kOii Rangeen Sii Sangeen Sii
Eik DaStaan jAisey mOhabbat Ibtada Mein Baal KhOley 
mUskuraati hAi Kabhi Har Nazam Min Har ShAiR Mein 
Har Ista’aarey Mein GhataaOn Ki Trah
Ghir Ghir Key Aatii hAi Aur Barastii hAi
Kabhi Sehra Kii Maanind Chund BOondOn Ko Trasti hAi
Kabhi Eik BulbUley Kii Trah Pal dO Pal Ko Hastii hAi
Kabhi SadiyOn Talak
Dil Key Nehaa KhaanOn Mein BaStii hAi
Kabhi Khird Key Andaishey Kabhi Eik jOsh e Mastii hAi
Kabhi Hans Hans Key rOtii hAi Kabhi Ro Ro Key Hanstii hA
mOhabbat Aadmii Ki Zindgii Ka Dhung Badaltii hAi
Magar Khud Rang Badaltii hAi
mOhabbat Rang Badalti hAi

No comments:

Post a Comment