Tuesday, 11 November 2014

Ab Ke Rut Badli To Khushboo Ka Safar Dekhega Kaun

 Ab Ke Rut Badli To Khushboo Ka Safar Dekhega Kaun
Zakhm Phoolon Ki Tarah Mahkenge Par Dekhegaa Kaun

Dekhna Sab Raqs-E-Bismal Main Magan Ho Jaayenge
Jis Taraf Se Tir Aayega Udhar Dekhega Kaun

Zakham Jitny Bhi The Sab Mansoob Qatil Se Hoye
Tery Hathon Ke Nishan Ay Chara Gar Dekhy Ga Kaun

Wo Hawas Ho Ya Wafa Ho Baat Maharumi Ki Hai
Log To Phal Phool Dekhenge Shajar Dekhegaa Kaun

 Ham Chiraag E Shab Hi Jab Thahre To Phir Kya Sochna
Raat Thi Kis Ka Muqaddar Aur Sahar Dekhega Kaun

Aa Fasil E Shahar Se Dekhen Ganim-E-Shahar Ko
Shehar Jalta Ho To Tujh Ko Baam Par Dekhegaa Kaun

Har Koi Apni Hawa Mein Mast Phirta Hai Faraz
Shehar Napursan Mein Teri Chashm-e-Tar Dekhy Ga Kaun

No comments:

Post a Comment