Tuesday 11 November 2014

Abhi kuch aor karishmy ghazal ky dekhty hein

Abhi kuch aor karishmy ghazal ky dekhty hein

‘Faraz’ ab zara lehja badal ky dekhty hein


Judaiyan to muqadar hein phir bhi jan-e-safr

Kuch aor dur zara sath chal ky dekhty hein


Rah-e-wafa mein herif kharaam koi to ho

So apny aap sy agy nikal ky dekhty hein


Tu samny hai to phir keon yaqin nahi ata

Yeh bar bar jo ankhon ko mal ky dekhty hein


Yeh kon log hein moujod teri mehfil mein

Jo lalichon sy tujhy mujh ko jal ky dekhty hein


Yeh qurb kya hai keh yakjan hoey na door rahy

Hazar aik hi qalib mein dhal ky dekhty hein


Na tujh ko maat hoi hai na mujh ko maat hoi

So ab ky dono hi chalen badal ky dekhty hein


Yeh kon hai sar-e-sahil ky dobny waly

Samandaron ki tehon sy uchhal ky dekhty hein


Abhi talk to na kundan hoey na rakh hoey

Hum apni aag mein har roz jal ky dekhty hein


Bahot dinon sy nahi hai kuch us ki kher khabr

Chalo ‘Faraz’ ko ay yar chal ky dekhty hein

No comments:

Post a Comment