Kon kehta hai keh moat aai to mar jaon ga
Main to darya hoon to samandar mein utar jaon ga
Tera dar chhor ke main aor kidhr jaon ga
Ghar mein ghir jaon ga sehra mein bikhr jaon ga
Tery pehlu se jo uthon ga to mushkil yeh hai
Sirf aik shakhas ko paon ga jidhr jaon ga
Ab tery shehr mein aaon ga musafir ki tarh
Saya abar ki manind guzr jaon ga
Tera peman-e-wafa rah ki deewar bana
Warna socha tha jab chahon ga mar jaon ga
Chara sazon se alag hai mera meyar keh main
Zakham khaon ga to kuch aor sanwar jaon ga
Ab to khursheed ko doby hoye sadyan guzren
Ab usy dhondny main ta basahr jaon ga
Zindgi shama ki manind jalata hon Nadeem
Bujh to jaon ga magr subh to kar jaon ga
No comments:
Post a Comment