Friday, 7 November 2014

mai bhagi ka bhag bhara sunahra ragistan

mai bhagi ka bhag bhara  sunahra ragistan
jo barish ki boondo mein mast ho kar nachna bhool gaya

jab abb hova nayab to ghandum ka sunahri dano ko taras gia
ur zarhaiz zameen ko sahra nigal gia

mawashi lukem ajal banta raha
parinda tarap tarap kar marte rahe nanhi kaliyan mujra rahi

mai bhagi ka geet sunati rahe
magar uska thar ka bhag

arabo sardaro ur wadiro ki otaq ma sota raha
dastkari karne wale hath

aur pani ka matka uthana wala sar
bheel ho ya rana chandramukhi ho ya zubaida

apne bacho ki lasha utha rahe
unke gham ma saro ko pita raha

ur murdar janwar ko gid b khane se inkar karta raha
mai bhagi ka geet sunati rahe

hospital bharta raha khali hota raha
hakima wapat jaga ur dora karta raha

gudhamo ma ek halchal c machi
mamta zindgi ur mout ghamdom ki borio ma

ur rupeeo sa bhara wadao ur lafafo ma band hoti rahe

mai bhagi khara neem k nicha gheet suanti rahe

No comments:

Post a Comment