Tuesday, 11 November 2014

Shuar apna hi jis ka bahana sazi tha

Shuar apna hi jis ka bahana sazi tha
Wo mery jhot sy khush tha nah sach py razi tha

Tamam omer usi key rahy yeh kya kam tha
Bala sy ishq haqiqi na tha majazi tha

Yeh do dilon ki qurabat bari gawahi hai
So kya hoi koi shahid nah koi qazi tha

Na tanz kar keh kai bar keh chukka tujh sy
Wo meri pehli mohabbat to mera mazi tha

Na dost yar na naseh na nama bar na raqib
Bala kashan-e-mohabbat sy kon razi tha

Yeh gul shuda si jo shammen dikhai deti hein
Huner in aankhon ka agy sitara sazi tha

Addo ke samny hathyar dalny wala
Koi Faraz sa kafir nahin tha ghazi tha

No comments:

Post a Comment