Suna hai log usy ankh bhar key dekhty hein
So us key shehar mein kuchh din thehr key dekhty hein
Suna hai rabt hai us ko kharab halon sey
So apny aap ko barbad kar key dekhty hein
Suna hai dard ki gahak hai chashm-e naz us ki
So ham bhi us ki gali sey guzar key dekhty hein
Suna hai us ko bhi hai shair-o shayri sey shaguf
So ham bhi mojzay apnay hunar key dekhty hein
Suna hai boly to baton sey phool jharty hein
Yeh bat hai to chalo bat kar key dekhty hein
Suna hai rat us ko chaand takta rehta hai
Sitary baam-e-falak sey utar kar dekhty hein
Suna hai din ko usy titlian satati hein
Suna hai rat ko jugno thehar key dekhty hein
Suna hai hashar hein uski ghazaal si aankhen
suna hai usko hirn dashat bhar key dekhty hein
Suna hai rat sey barh kar hein kakulen us ki
Suna hai shaam ko saye guzar key dekhty hein
Suna hai us ki siyah chashmagi qiyamat hai
So us ko surma farosh aankh bhar key dekhty hein
Suna hai us key labon sey gulab jalatey hein
So ham bahaar par ilzaam dhar key dekhty hein
Suna hai aaina tamsaal hai jaeen us ki
Jo sada dill hein usy ban sanvar key dekhty hein
Suna hai jab sey hamail hein us ki gardan mein
Mizaj aor hi lal-o-gohar key dekht hein
Suna hai chashm-e-tasawar sey dasht-e-imkan mein
Palang zawaiy us ki kamar key dekhty hein
Suna hai us key badan ki taraash aisi hai
Keh phool apani qabayaen kutar key dekhty hein
Woh saro qad hai magar begul-e-muraad nahin
Keh us shajar peh shagufy samar key dekhty hein
Bas ik nigah sey lutata hai qafila dil ka
So rahrawaan-e-tamannaa bhi dar ke dekhty hein
Suna hai us ke shabistan sey mutasil hai bahisht
Makeen udhar key bhi jalwy idhar key dekhty hein
Ruky to gardishen us ka tawaaf karti hein
Chaly to us ko zamany theher key dekhty hein
Kisay naseeb keh be perhan usy dekhy
Kabhi kabhi dar-o-diwaar ghar key dekhty hein
Kahanian hi sahi sab mubalghy hi sahi
Agar woh khawab hai tabir kar key dekhty hein
Ab us key sheher mein thehren keh kooch kar jayen
Faraz aao sitary safar key dekhty hein
No comments:
Post a Comment