Monday 3 November 2014

taaqo mein sajaya jaata hoon, aakhon se lagaaya jaata hoon

Quran ki faryaad
taaqo mein sajaya jaata hoon, aakhon se lagaaya jaata hoon
taweez banaya jaata hoon, dho dho ke pilaaya jaata hoon
juzdaan hareer-o-resham ke aur phool sitaare chaandi ke
phir itr ki baarish hoti hai, khusbu mein basaaya jaata hoon
jiss tarha se tota maina ko kuchh bol sikhaaye jaate hain
iss tarah parhaaya jaata hoon, iss tarah sikhaaya jaata hoon
jab qol-o-qasam lene ke liye takraat ki nobat aati hai
phir meri zaroorat parrti hai, haathon mein uthaaya jaata hoon
dil soz se khaali rehte hain, aankhen hain ke num hoti hi nahin
kehne ko main ek ek jalse mein parh parh ke sunaya jaata hoon
neki pe badi ka galba hai, sachchai se barhkar dhokha hai
ek baat hansaaya jaata hoon, sau baat rulaaya jaata hoon
ye meri aqeedat ke daawe, qanoon pe raazi ghairon ke
yun bhi mujhe ruswa karte hain, aise bhi sataaya jaata hoon.

No comments:

Post a Comment