Wednesday 12 November 2014

Tu ne ay rafiq-e-jan aor hi gul khila diye

Tu ne ay rafiq-e-jan aor hi gul khila diye
Bakhya gari ke shoq mien zakham nuy lga diye

Dast-e-hawa ne rait pe pehly bnay rasty
Phir mery ghar ke rasty ghar se tiry mila diye

Kitni thi ajnabi fiza pehly pehl firaq mein
Dard ke ishtraq ne dost kai bna diye

Aamad-e-yar ki khabar sun ke hum ehl-e-shoq ne
Palkon se gard saaf ki rasty mein dil bicha diy

Poocha tha kya pasand hai tujh ko mery biyaz mein
Us ne judaion ke shaer chun kar mujhy suna diy

Akhri sang meel tak sans ukhri chali magr
Pesh khyal tha koi hum ne qadm barha diye

Aik sitm zareef ne subh ke naam par
Apna dia bacha lia sab ke diy bujha diye

Kitna sukhan shanas tha taanh dia to yon dia
Aap ke fan ke rat jagy hijr ne jugmga diye

No comments:

Post a Comment