Wednesday 12 November 2014

Us ne kaha mujh se tumhen kitna piyar hai

Us ne kaha mujh se tumhen kitna piyar hai?
Main ne kaha sitaron ka koi shumaar hai?

Us ne kaha keh kon tumhen hai bohot aziz?
Main ne kaha keh dil pe jisy akhteyar hai

Us ne kaha keh kon sa tohfa hai man pasand?
Main ne kaha woh sham jo ab tak udhar hai

Us ne kaha keh khizaon mein mulaqat ka jwaz?
Main ne kaha keh qurb ka matlb bahaar hai

Us ne kaha keh senkron gham zindgi mein hein
Main ne kaha keh gham nahin gar gham gusaar hai

Us ne kaha keh sath kab tak nibhao ge?
Main ne kaha keh jitni yeh sanson ki taar hai

Us ne kaha keh mujh ko yaqeen aye kis tarh?
Main ne kaha keh naam mera Aitbar hai

No comments:

Post a Comment