Wednesday 12 November 2014

Woh koi aor nah tha chand khushk paty thay

Woh koi aor nah tha chand khushk paty thay
Shajar se toot ke jo fasl-e-gul par roey they

Abhi abhi tumhen socha to kuch nah yaad aya
Abhi abhi to ham eik dosry se bichry thay

Tumhary baad chaman par jab ik nazar dali
Kali kali mein Khizan ke chirag jalaty thay

Tamam omr wafa ke gunahgar rahy
Yeh aor baat keh hum adami to achy thay

Shab-e-Khamosh ko tanhai ne zaban de di
Pahar goonjty thay dasht sansanaty thay

Woh aik baar mary jin ko tha hiyaat se piyar
Jo zindagi se gurezan thay roz marty thay

Naye Khayal ab aaty hein dhal ke zahan mein
Humary dil mein kabhi khet lehlahaty thay

Yeh irtiqa ka chalan hai keh har zamany mein
Purany log naey aadmi se darty thay

Nadeem jo bhi mulaqaat thi adhoori thi
Keh aik chehry ke peechy hazaar chehry thay

No comments:

Post a Comment