Aik wehshat hai ke hoti hai achaanak taari,
Aik gham hai ke
yaka’yak* hi ubal parrta hai
Tere gham ke siwaa zamane mein,
Kon se gham ka ilaaj naheen…
Aye gham-e-zindagi na ho naraaz,
Mujhe ko aadat hai
muskuraane ki..
Agar woh pooch lein hum se,
tumhe kis baat ka gham hai,
To phir kis baat ka gham hai,
agar woh pooch lein hum se..
Usey kaho ke hum us ke baghair jee lein ge,
Yeh gham agarchey
zyada hai aadmi ke liye..
No comments:
Post a Comment