Saturday, 4 April 2015

Kabhi Kabhi Mere Dil Mein

Kabhi kabhi mere dil mein Khayal aata hai

Ke zindagi teri zulfoon ki narm chhaahoon mein
Guzarne pati to shadab ho bhi sakti thi
Yeh teergi jo meri zeest ka muqaddar hai
Teri nazar ki shuaaon mein kho bhi sakti thi

Ajab na tha ke main begana-e-alam ho kar
Tere jamaal ki rahnaeyon mein kho rahta
Tera gudaz badan teri neem-baaz aankhein
Inheen haseen fasanon mein mahv ho rahta

Pukarti mujhe jab talKhiyan zamane ki
Tere labon se halavat ke ghoonT pi leta
Hayat cheekhti phirti barhana-sar, aur main
Ghaneri zulfoon ke saaye mein chhup ke ji leta

Magar yeh ho na saka aur ab yeh aalam hai
Ke tu nahien, tera Gham, teri justuju bhi nahien
Guzar rahi hai kuchh is tarah zindagi jaise
Ise kisi ke sahaare ki aarzu bhi nahien

Zamane bhar ke dukhoon ko laga chuka hoon gale
Guzar raha hoon kuchh anjani rah-gaahoon se
Muheeb saaye meri simt baRhte aate hain
Hayat-o-maut ke pur-haul Kharzaroon se

Na koi jada-o-manzil na roshni ka suraGh
BhaTak rahi hai Khalahoon mein zindagi meri
Inheen Khalaoon mein rah jauonga kabhi khokar
Main janta hoon meri ham-nafas magar yoon hi

Kabhi kabhi mere dil mein Khayaal aata hai 

No comments:

Post a Comment