Sunday, 5 April 2015

Socha Nahien Achha Bura

Socha nahien achha bura, dekha suna kuch bhi nahien.
Maanga Khuda se raat din, tere siva kuch bhi nahien.

Dekha tujhe, socha tujhe, chaha tujhe, pooja tujhe;
Meri Khata meri wafa, teri Khata kuch bhi nahien.

Jis par hamari aankh ne, moti bichhaye raat bhar;
Bheja wahi kaaGhaz use, hamne likha kuch bhi nahien.

Ik shaam ki dah'leez par, baiThe rahe vo der tak;
Aankhon se ki baatain bahut, muonh se kaha kuch bhi nahien.

Do chaar din ki baat hai, dil Khaak mein so jaayega;
Jab aag par kaaGhaz rakha, baki bacha kuch bhi nahien.

Ahsaas ki Khushbo kahaan, aavaz ke jugno kahaan;
Khamosh yaadon ke siva, ghar mein raha kuch bhi nahien.

No comments:

Post a Comment