Thursday, 9 January 2014

Gham-e-zindagi tera shukriya

Gham-e-zindagi tera shukriya –
teray faiz he sey ye haal hai
Wahi subh o shaam ki uljhanein
wahi raat din ka wabal hai


Na chaman mein boo-e-saman rahi
naa he rung lala o gul raha
Tu kafa kafa sa hai waqayee
ke ye sirf mera khayal hai


Esay kaisey ziist kahey koi
kahi aah-dil kahi chashm-e-num
Wahi raat din ki museebatein
wahi mah hai wahi saal hai


Mein ghumon sey houn jo yun mutmaeen
tu bura na maniye tu mein kahon
Teray husn ka nahi faiz kuch
meri aashqee ka kamal hai


Hai ye aagh kaisee laghee hovi
meray dil ko aaj hova hai kiya
Jo hai ghum tu hai ghum-e-aarzo
aghar hai tu fikr-e visaal hai


Koi kaash mujh ko bata sakey
rah o rasm ishq ki uljhanein
Wo kahey to baat patay ki hai
mein kahon to khaam khayal hai

No comments:

Post a Comment