Hawa K Zor Se Pindar-E-Bam-O-Dar Bhi Gaya
Chirag Ko Jo Bachate The Un Ka Ghar Bhi Gaya
Pukarte Rahe Mahafuz Kishtiyon Vale
Main Dubte Hua Dariya K Par Utar Bhi Gaya
Ab Ehtiyat Ki Divar Kya Uthate Ho
Jo Chor Dil Main Chupa Tha Vo Kam Kar Bhi Gaya
Main Chup Raha K Is Main Thi Afiyat Jan Ki
Koi To Meri Tarah Tha Jo Dar Par Bhi Gaya
Sulagate Sochte Viran Mausamon Ki Tarah
Kara Tha Ahad-E-Javani Magar Guzar Bhi Gaya
Jise Bhula Na Saka Us Ko Yad Kya Rakhta
Jo Nam Dil Main Raha Zehan Se Utar Bhi Gaya
Phati-Phati Hui Ankhon Se Yun Na Dekh Mujhe
Tujhe Talash Hai Jis Ki Vo ShaKhs Mar Bhi Gaya
Magar Falak Ki Adavat Usi K Ghar Se Na Thi
Jahan ‘Faraz’ Na Tha Sail-E-Gam Udhar Bhi Gaya
No comments:
Post a Comment