Tuesday 21 January 2014

mangti hun kuch duaen

mangti hun kuch duaen
ae kash in meinn asar hojaye

wo chahy muje kuch is tarah
k ta qayamat ye pyar amar hojaye

ye hai dua kabhi jo ho zarurat usay sanson ki
khuda meri sansen dede usay

yun meri jan uski nazar hojaye
dua to ye hai k guzray zindagi uski banhoon mein

agar ye naho to uske qadmo mein hi sahi
meri zindagi uske sang basar to hojaye

dua hai wo pyar kare mere jesa mujko
yaad kare sehar o shab mujko

bas ab usko mere pyar ki qadar hojayee
mangi hain ye duaen

ae kash in me asar hojayeee

No comments:

Post a Comment