Tuesday 21 January 2014

Aaiinaa huuN, sab ke chehre dekh rahaa huuN

Aaiinaa huuN, sab ke chehre dekh rahaa huuN
Khvaab-nagar hai aaNkheN khole dekh rahaa huuN

us ko apnii jaanib aate dekh rahaa huuN
kis kii aahaT sahar-sahar phail rahii hai

diivaaroN ke rang badalte dekh rahaa huuN
kaun mire jaaduu se bach kar jaa saktaa hai!

aaiinaa huuN, sab ke chehre dekh rahaa huuN
darvaaze par tez havaaoN kaa pahraa hai

ghar ke andar chup ke saaye dekh rahaa huuN
jaise meraa chehraa mere dushman kaa ho

aaiine meN Khud ko aise dekh rahaa huuN
manzar manzar viiraanii ne jaal taane haiN

gulshan gulshan bikhre patte dekh rahaa huuN
manzil manzil hol meN Duubii aavaazeN haiN

rastaa rastaa Khauf ke pahre dekh rahaa huuN
shah’r sangdlaal (?) meN “zishaan” har raste par

aavaazoN ke patthar chalte dekh rahaa huuN….

No comments:

Post a Comment