Tuesday 21 January 2014

Wo Kagaz ki kashti, wo barish ka pani

Yeh Daulat Bhi Le Lo,
Yeh Shohrat Bhi Le Lo,


Bhale Chheen Lo Mujhse Se Meri Jawani,
Magar Mujhko Lauta Do bachpan Ka Sawan.. 


Wo Kagaz Ki Kashti, wo Baarish Ka Paani.. 

Muhalle Ki Sabse Purani Nishani, 

Wo Budhia Jise Bachche Kehte The Naani,
Wo Naani Ki Baaton Me Parion Ka Dera, 


Wo Chehre Ki Jhurrion Me Sadiyon Ka pehra,
Bhulaye Nahin Bhul Sakta Hai Koi, 


Bhulaye Nahin Bhool Sakta Hai Koi,
Wo Chhoti Si Raaten, Wo Lambi Kahani 


Kadi Dhoop Me Apne Ghar Se Nikalna,
Wo Chidia Wo Bulbul Wo Titli Pakadna ,


Wo Gudia Ki Shaadi Pe Ladna jhagadna,
Wo Jhoolon Se Girna Wo Gir Ke Sambhalna,


Wo Peetal Ke Chhalon Ke Pyare Se Tohfe,
Wo Tooti Hui Choodion Ki Nishani


Wo Kagaz Ki Kashti Wo Baarish Ka Paani, 

Kabhi Ret Ke Oonche teeloN Pe Jana

Gharonde Banana, Bana ke Mitana
Wo Masoom Chahat Ki Tasveer Apni


Wo KhwaboN KhilaunoN Ki Jaageer Apni
Na Duniya Ka Gam Tha Na RishtoN Ke Bandhan


Badi Khoobsurat Thi Wo Zindagani..

No comments:

Post a Comment