Monday 20 January 2014

Merey wahm-o- guman se bhi zyada toot jata hey

Merey wahm-o- guman se bhi zyada toot jata hey
Ye dil apni hadoon mein reh kar itna toot jata hey

Mein roo‘oun to dar-o-dewar mujh pey hansney lagtey hain
Hansoon to merey andar janey kya kya toot jata hey

Mein jis lamhey ki khawahish mein safar karta hoon sadyoon sey
Kahin paoon taley aa kar who lamha toot jata hey

Merey khwaboon ki basti sey janazey uthtey jatey hain
Meri aankhein jisey choo lain who sapna toot jata hey

Najaney kitni muddat sey hey dil mein ye amal jari
Zara si thees lagti hey zara sa toot jata hey

Dil e nadan hamari to mohabbat hi na muqamal thi
To heyrat kya jo bantey hi irada toot jata hey

Muqadar mein merey sagar shikast o rekhat itni hain
Mein jis ko apna keh doon who sitara toot jata hain …..

No comments:

Post a Comment