Friday, 24 January 2014

Silsalah-E-Roz-O-Shab, Naqsh Gar-E-Hadsaat

Silsalah-E-Roz-O-Shab, Naqsh Gar-E-Hadsaat
Silsalah-E-Roz-O-Shab, Asal-E-Hayat-O-Mamaat

Silsalah-E-Roz-O-Shab, Taar-E-Hareer-E-Do Rang

Jis Se Banati Hai Zaat Apni Qaba’ay Sifat

Silsalah-E-Roz-O-Shab, Saaz-E-Azal Ki Faghan

Jis Se Dikhati Hai Zaat Zair-O-Bam-E-Mumkinaat

Tujh Ko Parakhta Hai Ye, Mujh Ko Parakhta Hai Ye

Silsalah-E-Roz-O-Shab, Sayr Fee Kainat

Tu Ho Agar Kam Ayaar, Main Hun Agar Kam Ayaar

Mout Hai Teri Baraat, Mout Hai Meri Baraat

Tere Shab-O-Roz Ki Aur Haqiqat Hai Kya

Aik Zamane Ki Ro Jis Mein Na Din Hai Na Raat

Aani –O-Fani Tamam Mojazaat  Haye Gunar

Kaar-E-Jahan Be-Sabaat, Kaar-E-Jahan Be-Sabaat!

Awwal-O-Akhir Fana, Batin-O-Zahir Fana

Naqsh-E-Kuhan Ho Ke Nau, Manzil-E-Akhir Fana

Hai Magar Iss Naqsh Mein Rang-E-Sabaat-E-Dawam

Jis Ko Kiya Ho Kisi Mard-E-Khuda Ne Tamam

Mard-E-Khuda Ka Amal Ishq Se Sahib Firogh

Ishq Hai Asal-E-Hayat, Mout Hai Iss Par Haraam

Tund-O-Subak Sair Hai Gharcha Zamane Ki Ro

Ishq Khud Ek Sayl Hai, Sayl Ko Leta Hai Thaam

Ishq Ki Taqweem Mein Asar-E-Rawan Ke Sawa

Aur Zamane Bhi Hain Jin Ka Nahin Koi Naam

Ishq Dam-E-Jibreel, Ishq Dam-E-Mustafa (S.A.W.).

Ishq Khuda Ka Rasool, Ishq Khuda Ka Kalaam

Ishq Ki Masti Se Hai Paikar-E-Gil Taabnaak

Ishq Hai  Sehba’ay Khaam, Ishq Hai Kaas-Ul-Kiraam

Ishq Faqeeh-E-Haram, Ishq Ameer Junood

Ishq Hai Ibn-Ul-Sabeel, Iss Ke Hazaron Maqam

Ishq Ke Mizraab Se Naghma’ay Taar-E-Hayat

Ishq Se Noor-E-Hayat, Ishq Se Naar-E-Hayat

Ae Haram-E-Qurtuba! Ishq Se Tera Wujood

Ishq Sarapa Dawam, Jis Mein Nahin Raft-o-Bood

Rang Ho Ya Khisht-o-Sang, Chang Ho Ya Harf-o-Soot

Moajaza-E-Fan Ki Hai Khoon-E-Jigar Se Namood

Katra-E-Khoon-E-Jigar Sil Ko Banata Hai Dil

Khoon-E-Jigar Se Sada Souz-o-Suroor-o-Surood

Teri Fiza Dil Faroz , Meri Nawa Sina Soz

Tujh Se Dilon Ka Huzoor, Mujh Se Dilon Ki Kushood

Arsh-E-Muala Se Kam Sina’ay Adam Nahin

Garche Kaf-Ekhak Ki Had Hai Sipihr-E-Kubood

Pekar-E-Noori Ko Hai Sajda Meyasir To Kya

Iss Ko Meyasir Nahin Soz-O-Gudaaz-E-Sujood

Kafir-E-Hindi Hun Main, Dekh Mera Zauq-O-Shauq

Dil Mein Salat-O-Durood, Lab Pe Salat-O-Durood

Shauq Meri Le Main Hai, Shauq Meri Ne Mein Hai

Naghma’ay ‘ALLAH HOO’ Mere Rag-E-Pe Mein Hai

Tera Jalal-O-Jamal, Mard-E-Khuda Ki Daleel

Woh Bhi Jaleel-O-Jameel, Tu Bhi Jaleel-O-Jameel

Teri Bina Paidar, Tere Sutoon Be-Shumar

Sham Ke Sehra Mein Ho Jaise Hujoom-E-Nakheel

Tere Dar-O-Baam Par Wadi-E-Ayman Ka Noor

Tera Minaar-E-Buland Jalwagah-E-Jibreel

Mit Nahin Sakta Kabhi Mard-E-Musalman Ke Hai

Iss Ki Azanon Se Fash Sir-E-Kaleem(A.S.)-O-Khalil(A.S.)

Iss Ki Zameen Behadood, Is Ka Ufaq Be Sooghoor

Iss Ke Samundar Ki Mouj, Dajla-O-Danyob-O-Neel

Iss Ke Zamane Ajeeb, Iss Ke Fasane Ghareeb

Ehad-E-Kuhan Ko Diya Iss Ne Payam-E-Raheel

Saqi Arbab-E-Zauq, Faris-E-Maidan-E-Shauq

Badah Hai Iss Ka Raheeq, Taeg Hai Iss Ki Aseel

Mard-E-Sipahi Hai Woh, Iski Zirah ‘LA ILAHA’

Saya-E-Shamsheer Mein Is Ski Panah ‘LA ILAHA’

Tujh Se Huwa Ashkara Banda-E-Momin Ka Raaz

Iss Ke Dino Ki Tapish, Is Ke Shabon Ka Gudaaz

Iss Ka Maqam Buland, Iss Ka Khayal Azeem

Iss Ka Suroor Iss Ka Shauq, Iss Ka Niaz Iss Ka Naaz

Hath Hai ALLAH Ka Banda-E-Momin Ka Hath

Ghalib-O-Kaar Afreen, Kaar Kusha, Kaar Saaz

Khaki-O-Noori Nihad, Banda-E-Mola Sifat

Har Do Jahan Se Ghani Iss Ka Dil-E-Beniaz

Uss Ki Umeedain Qaleel, Uss Ke Maqasid Jaleel

Uss Ki Ada Dil Faraib, Iss Ki Nigah Dil Nawaz

Naram Dam-E-Guftugoo, Garam Dam-E-Justujoo

Razm Ho Ya Bazm Ho, Pak Dil-O-Pak Baz

Nukta’ay Parkar-E-Haq, Mard-E-Khuda Ka Yaqeen

Aur Ye Alam Tamam Weham-O-Tilism-O-Majaz

Aqal Ki Manzil Hai Woh, Ishq Ka Hasil Hai Woh

Halqa’ay Afaq Mein Garmi-E-Mehfil Hai Woh

Kaaba Arbab-E-Fan! Sitwat-E-Deen-E-Mubeen

Tujh Se Haram Martabat Andlusiyon Ki Zameen

Hai Teh-E-Gardoon Agar Husn Mein Teri Nazeer

Qalb-E-Musalman Mein Hai, Aur Nahin Hai Kahin

Aah Woh Mardan-E-Haq! Woh Arabi Shehsawar

Hamil-E-Khulq-E-Azeem, Sahib-E-Sidq-O-Yaqeen

Jin Ki Hukumat Se Hai Fash Ye Ramz-E-Ghareeb

Saltanat Ahl-E-Dil Faqar Hai, Shahi Nahin

Jin Ki Nigahon Ne Ki Tarbiat-E-Sharq-O-Gharb

Zulmat-E-Yorap Mein Thi Jin Khird Rah Been

Jin Ke Lahoo Ki Tafail Aaj Bhi Hain Andlasi

Khush Dil-O-Garam Ikhtalaat, Sada-O-Roshan Jabeen

Aaj Bhi Iss Dais Mein Aam Hai Chasm-E-Ghazaal

Aur Nigahon Ke Teer Aaj Bhi Hain Dil Nasheen

Boo’ay Yaman Aaj Bhi Is Ski Hawaon Mein Hai

Rang-E-Hijaz Aaj Bhi Iss Ki Nawaon Mein Hai

Didah-E-Anjum Mein Hai Teri Zameen, Asman

Aah Ke Sadiyon Se Hai Teri Faza Be-Azan

Kon Se Wadi Mein Hai, Kon Si Manzil Mein Hai

Ishq-E-Bala Khaiz Ka Kafla’ay Sakht Jaan!

Dekh Chuka Almani, Shorish-E-Islah-E-Deen

Jis Ne Na Chore Kahin Naqsh-E-Kuhan Ke Nishan

Harf-E-Galat Ban Gyi Ismat-E-Peer-E-Kunisht

Aur Huwi  Fikar Ki Kashti-E-Nazuk Rawan

Chashme-E-Francis Bhi Dekh Chuki Inqilab

Jis Se Digargoon Huwa Magribiyon Ka Jahan

Millat-E-Roomi Nazad Kuhna Prasti Se Peer

Lazzat-E-Tajdeed Se Woh Bhi Huwi Phir Jawan

Rooh-E-Musalman Mein Hai Aaj Wohi Iztarab

Raaz-E-Khudai Hai Ye, Keh Nahin Sakti Zuban

Dekhiye Iss Behar Ki Teh Se Uchalta Hai Kya

Gunbad-E-Nilofari Rang Badalta Hai Kya!

Wadi-E-Kuhsaar Mein Garaq-E-Shafaq Hai Sahab

La’al-E-Badkhashan Ke Dhair Chor Gya Aftab

Sada-O-Pursoz Hai Dukhtar-E-Dehqan Ka Geet

Kashti-E-Dil Ke Liye Sayl Hai Ehad-E-Shabab

Aab-E-Rawan-E-Kabeer ! Tere Kinare Koi

Dekh Raha Hai Kisi Aur Zamane Ka Khawab

Alam-E-Nau Hai Abhi Parda’ay Taqdeer Mein 

Meri Nigahon Mein Hai Iss Ki Sehar Behijab

Parda Utha Doon Agar Chehra’ay Afkar Se

La Na Sake Ga Farang Meri Nawa’on Ki Taab

Jis Mein Na Ho Inqilab, Mout Hai Woh Zindagi

Rooh-E-Ummam Ki Hayat Kashmakash-E-Inqilab

Soorat-E-Shamsheer Hai Dast-E-Qaza Mein Woh Qaum

Karti Hai Jo Har Zaman Apne Amal Ka Hisaab

Naqsh Hain Sub Na-Tamam Khoon-E-Jigar Ke Begair

Naghma Hai Soda’ay Kham Khoon-E-Jigar Ke Begair

Wada-Al-Kabeer, Qurtuba Ka Mashoor Darya Jis Ke 

Qareeb Hi Masjid-E-Qurtaba Waqiya Hai

No comments:

Post a Comment