Tuesday 25 February 2014

Andaaz Hu-Ba-Hu Teri Aawaaz-E-Pa Ka Tha,

Andaaz Hu-Ba-Hu Teri Aawaaz-E-Pa Ka Tha,
Dekha Nikal Ke Ghar Se To Jhonka Hawa Ka Tha,

Us Husn-E-Ittefaaq Pe Lut Kar Bhi Shaad Hun,
Teri Raza Jo Thi, Woh Taqaaza Wafa Ka Tha,

Dil Raakh Ho Chuka To Chamak Aur Barh Gayi,
Yeh Teri Yaad Thi Ki Amal Keemiya Ka Tha,

Is Rishta-E-Lateef Ke Asraar Kya Khulein,
Tu Saamne Tha Aur Tassawwur Khuda Ka Tha,

Chhup Chhup Ke Roun Aur Sar-E-Anjuman Hasoon,
Mujh Ko Yeh Mashwara Mere Dard Aashna Ka Tha,

Uttha Ajab Tazaad Se Insaan Ka Khameer,
Aadi Fana Ka Tha Jo Pujaari Baqa Ka Tha,

Toota To Kitne Aayina-Khaano Pe Jar Pari,
Atka Hua Gale Mein Jo Patthar Sada Ka Tha,

Hairaan Hun Ki Daar Se Kaise Bacha 'Nadeem',
Woh Shakhs To Ghareeb-O-Ghuyoor Inteha Ka Tha ...

No comments:

Post a Comment