Tuesday 25 February 2014

Daleel-E-Subah-E-Roshan Hai Sitaron Ki Tunak Tabi

Daleel-E-Subah-E-Roshan Hai Sitaron Ki Tunak Tabi
Ufaq Se Aftab Ubhra, Gya Dour-E-Garan Khawabi

Urooq-E-Murda-e-Mashriq Mein Khoon-E-Zindagi Dora
Samajh Sakte Nahin Iss Raaz Ko Seena-O-Farabi

Musalman Ko Musalman Kar Diya Toofan-E-Maghrib Ne
Talatum Haye Darya Hi Se Hai Gohar Ki Seerabi

Atta Momin Ko Phir Dargah-E-Haq Se Hone Wala Hai
Shikoh-E-Turkamani, Zehan-E-Hindi, Nutq-E-Arabi

Asar Kuch Khawab Ka Ghunchon Mein Baqi Hai To Ae Bulbul !
"Nawa Ra Talakh Tar Mee Zan Choo Zauq-E-Naghma Kamyabi"

Tarap Sehan-E-Chaman Mein, Ashiyan Mein, Shakhsaron Mein
Juda Pare Se Ho Sakti Nahin Taqdeer-E-Seemabi

Woh Chashm-E-Paak Been Kyun Zeenat-E-Bargistawan Dekhe
Nazar Ati Hai Jis Ko Mard-E-Ghazi Ki Jigar Tabi

Zameer-E-Lala Mein Roshan Charagh-E-Arzoo Kar De
Chaman Ke Zarre Zarre Ko Shaheed-E-Justujoo Kar De

Sar Shak-E-Chashm-E-Muslim Mein Hai Neesan KaAsar Paida
Khalil-Allah (A.S.) Ke Darya Mein Hon Ge Phir Guhar Paida

Kitab-E-Millat-E-Baiza Ki Phir Sheeraza Bandi Hai
Ye Shakh-E-Hashmi Karne Ko Hai Phir Barg-E-Bar Paida

Rubood Aan Turk Sheerazi Dil-E-Tabraiz-O-Kabil Ra
Saba Karti Hai Bu-e-Gul Se Apna Hamsafar Paida

Agar Usmaniyon Par Koh-E-Gham Toota To Kya Gham Hai
Ke Khoon-E-Sad Hazar Anjum Se Hoti Hai Sahar Paida

Jahan Baani Se Hai Dushwar Tar Kar-E-Jahan Beeni
Jigar Khoon Ho To Chashm-E-Dil Mein Hoti Hai Nazar Paida

Hazaron Saal Nargis Apni Benoori Pe Roti Hai
Bari Mushkil Se Hota Hai Chaman Mein Deedaawar Paida

Nawa Pera Ho Ae Bulbul Ke Ho Tere Taranum Se
Kabootar Ke Tan-E-Nazuk Mein Shaheen Ka Jigar Paida

Tere Seene Mein Hai Poshida Raaz-E-Zindagi Keh De
Musalman Se Hadees-E-Soz-O-Saaz-E-Zindagi Keh De

Khuda-e-Lam-Yazil Ka Dast-E-Qudrat Tu, Zuban Tu Hai
Yaqeen Paida Kar Ae Ghafil Ke Maghloob-E-Guman Tu Hai

Pare Hai Charakh-E-Neeli Faam Se Manzil Musalman Ki
Sitare Jis Ki Gard-E-Rah Hon, Woh Karwan Tu Hai

Makan Fani, Makeen Aani, Azal Tera, Abad Tera
Khuda Ka Akhiri Pegham Hai Tu, Javedaan Tu Hai

Hina Band-E-Uroos-E-Lala Hai Khoon-E-Jigar Tera
Teri Nisbat Baraheemi Hai, Mamaar-E-Jahan Tu Hai

Teri Fitrat Ameen Hai Mumkanat-E-Zindagani Ki
Jahan Ke Johar-E-Muzmar Ka Goya Imtihan Tu Hai

Jahan-E-Aab-O-Gil Se Alam-E-Javed Ki Khatir
Nabuwat Sath Jis Ko Le Gyi Woh Armgahan Tu Hai

Ye Nukta Sargazhat-E-Millat-E-Baiza Se Hai Paida
Ke Aqwam-E-Zameen-E-Asia Ka Pasban Tu Hai

Sabaq Phir Parh Sadaqat Ka, Adalat Ka, Shujaat Ka
Liya Jaye Ga Tujh Se Kaam Dunya Ki Imamat Ka

Yehi Maqsood-E-Fitrat Hai, Yehi Ramz-E-Muslamani
Akhuwat Ki Jahangeeri, Mohabat Ki Farawani

Butan-E-Rang-O-Khoon Ko Torh Kar Millat Mein Gum Ho Ja
Na Toorani Rahe Baqi, Na Irani Na Afghani

Miyan-E-Shakhsaran Sohbat-E-Murgh-E-Chaman Kab Talak!
Tere Bazu Mein Hai Parwaz-E-Shaheen-E-Kehsatani

Guman Abad-E-Hasti Mein Yaqeen Mard-E-Musalman Ka
Byaban Ki Shab-E-Tareek Mein Qindeel-E-Rahbani

Mitaya Qaisar-E-Kasra Ke Istabdad Ko Jis Ne
Wo Kya Tha, Zor-E- Haider (R.A.) , Faqr-E- Bu Zar (R.A.) , Sidq-E- Salmani (R.A.)

Huway Ahrar-E-Millat Jadah Pema Kis Tajamul Se
Tamashayi Shagaaf-E-Dar Se Hain Sadiyon Ke Zindani

Sabat-E-Zindagi Aeeman-E-Muhkam Se Hai Dunya Mein
Kah Almani Se Bhi Paenda Tar Nikla Hai Toorani

Jab Iss Angara-e-Khaki Mein Hota Hai Yaqeen Paida
To Kar Leta Hai Ye Bal-O-Par-E-Rooh-ul-Ameen Paida

Ghulami Mein Na Kaam Ati Hain Shamsheerain Na Tadbeerain
Jo Ho Zauq-E-Yaqeen Paida To Kat Jati Hain Zanjeerain

Koi Andaza Kar Sakta Hai Uss Ke Zor-E-Bazu Ka !
Nigah-E-Mard-E-Momin Se Badal Jati Hain Taqdeerain

Walayat, Padshahi, Ilm-E-Ashiya Ki Jahangeeri
Ye Sub Kya Hain, Faqat Ek Nukta-E-Aeeman Ki Tafseerain

Baraheemi Nazar Paida Magar Mushkil Se Hoti Hai
Hawas Chup Chup Ke Seenon Mein Bana Leti Hai Tasweerain

Tameez-E-Banda-O-Aaqa Fasad-E-Admiyat Hai
Hazar Ae Cheerah Dastan! Sakht Hain Fitrat Ki Taazirain

Haqiqat Aik Hai Har Shay Ki, Khaki Ho Ke Noori Ho
Lahoo Khursheed Ka Tapake Agar Zarre Ka Dil Cheerain

Yaqeen Mohkam, Amal Peham, Mohabbat Faateh-E-Alam
Jahad-E-Zindagani Mein Hain Ye Mardon Ki Shamsheerain

Cha Bayad Mard Ra Tabaa-E-Bulanday, Mashrab-E-Naabay
Dil-E-Garmee, Nigah-E-Pak Beenay, Jaan-E-Betabay

Auqabi Shan Se Jhapte The Jo, Bebaal-O-Par Nikle
Sitare Sham Ke Khoon-E-Shafaq Mein Doob Kar Nikle

Huway Madfoon-E-Darya Zair-E-Darya Tairne Wale
Tamanche Mouj Ke Khate The Jo, Ban Kar Guhar Nikle

Ghabar-Ereh Guzar Hain, Keemiya Par Naaz Tha Jin Ko
Jibeenain Khak Par Rakhte The Jo, Ikseer Gar Nikle

Hamara Naram Ro Qasid Peyam-E-Zindagi Laya
Khabar Deti Theen Jin Ko Bijliyan Woh Be-Khabar Nikle

Haram Ruswa Huwa Peer-E-Haram Ki Kam Nigahi Se
Jawanan-E-Tatari Kis Qadar Sahib-E-Nazar Nikle

Zameen Se Nooriyan-E-Asman Parwaz Kehte The
Ye Khaki Zinda Tar, Paenda Tar, Tabinda Tar Nikle

Jahan Mein Ahl-E-Aeeman Soorat-E-Khursheed Jeete Hain
Idhar Doobe Udhar Nikle, Udhar Doobe Idhar Nikle

Yaqeen Afrad Ka Sarmaya-E-Tameer-E-Millat Hai
Yehi Quwwat Hai Jo Soorat Gar-E-Taqdeer-E-Millat Hai

Tu Raaz-E-Kun Fakan Hai, Apni Ankhon Par Ayan Ho Ja
Khudi Ka Raazdan Ho Ja, Khuda Ka Tarjuman Ho Ja

Hawas Me Kar Diya Tukre Tukre Nu-E-Insan Ko
Akhuwat Ka Byan Ho Ja, Mohabbat Ki Zuban Ho Ja

Ye Hindi, Wo Khurasaani, Ye Afghani, Wo Toorani
Tu Ay Sharminda-E-Sahil ! Uchal Kar Be-Karan Ho Ja

Ghubar Aludah-e-Rang-O-Nasb Hain Baal-O-Par Tere
Tu Ae Murgh-E-Hara ! Urne Se Pehle Par-Fishan Ho Ja

Khudi Mein Doob Ja Ghafil ! Ye Sir-E-Zindagani Hai
Nikl Kar Halqa-E-Shaam-O-Sahar Se Javedaan Ho Ja

Masaf-E-Zindagi Mein Seerat-E-Foulad Paida Kar
Shabistan-E-Mohabbat Mein Harair-O-Parniyan Ho Ja

Guzar Ja Ban Ke Seel-E-Tund Ro Koh-E-Byaban Se
Gulistan Rah Mein Aye To Joo-e-Naghma Khawan Ho Ja

Tere Ilm-O-Mohabbat Ki Nahin Hai Intaha Koi
Nahi Hai Tujh Se Barh Kar Saaz-E-Fitrat Mein Nawa Koi

Abhi Tak Admi Sayd-E-Zaboon-E-Sheher Yari Hai
Qayamat Hai Ke Insan Nu-E-Insan Ka Shikari Hai

Nazar Ko Kheerah Karti Hai Chamak Tehzeeb-E-Hazir Ki
Ye Sanaee Magar Jhoote Nagon Ki Rezakari Hai

Woh Hikmat Naz Tha Jis Par Khiradmandan-E-Maghrib Ko
Hawas Ke Panja-e-Khoonee'n Mein Taegh-E-Karzari Hai

Tadabur Ki Fasoon Kari Se Mohkam Ho Nahin Sakta
Jahan Mein Jis Tamaddan Ki Bina Sarmayadari Hai

Amal Se Zindagi Banti Hai Jannat Bhi, Jahanum Bhi
Ye Khaki Apni Fitrat Mein Na Noori Hai Na Naari Hai

Kharosh Amoz-E-Bulbul Ho, Girah Ghunche Ki Wa Kar De
Ke Tu Iss Gulistan Ke Waste Baad-E-Bahari Hai

Phir Uthi Asia Ke Dil Se Chankari Mohabbat Ki
Zameen Joulan Geh-E-Atlas Qabayan-E-Tatari Hai

Baya Paida Khareedarst Jaan-E-Natoowane Ra
"Pas Az Muddat Gudaz Aftaad Barma Karwame Ra"

Baya Saqi Nawaye Murgh-E-Zaar Az Shakhsar Amad
Bahar Amad Nigar Amad, Nigar Amad Qirar Amad

Kasheed Abar-E-Bahari Khemah Andar Wai-O-Sehra
Sadaa-e-Absharan Az Faraz-E-Kohsar Amad

Sarat Gardam To Ham Qanoon-E-Paisheen Saazdah Saqi
Ke Kheel-E-Naghma Pardazan Qitar Andar Qitar Amad

Kanar Az Zahadan Bargeer-O-Bebakana Saghar Kash
Pas Az Muddar Azeen Shakh-E-Kuhan Bang-E-Hazar Amad

Ba Mushtaqan Hadees-E- Khawajah (S.A.W.) -E-Badar-O-Hunain Awar
Tasarraf Haye Pinhanash Ba-Chashm Ashkar Amad

Dgar Shakh-E- Khalil (A.S.) Az Khoon-E-Ma Namnaak Mee Gardad
Baba Zaar-E-Mohabbat Naqad-E-Maa Kamil Ayar Amad

Sir-E-Khak Shaheeday Barg Haye Lala Mee Pasham
Ke Khawinsh Banihal-E-Millat Ma Saazgar Amad

"Baya Ta Gul Bifasha-Neeyam Wa May Dar Saghar Andazyam
Falak Ra Saqaf Bashagafiyam Wa Tarah-E-Deegar Andazyam" ....

No comments:

Post a Comment