Tuesday 25 February 2014

Apni Jolaan-gaah Zair-e-Asman Samjha Tha Mein

Apni Jolaan-gaah Zair-e-Asman Samjha Tha Mein
Aab-o-Gil Ke Khail Ko Apna Jahan Samjha Tha Mein

Behijabi Se Teri Toota Nigahon Ka Tilism
Ek Rida'ay Neelgoon Ko Asman Samjha Tha Mein

Karwan Thak Kar Faza Ke Paich-o-Kham Mein Reh Gya
Meher-o-Mah-o-Mushtari Ko Hum Ana Samjha Tha Mein

Ishq Ki Ek Jast Ne Tay Kar Diya Qissa Tamam
Iss Zameen-o-Asman Ko Be-Karan Samjha Tha Mein

Keh Gayen Raaz-e-Mohabbat Parda-Dari-e-Haye Shauq
Thi Faghan Who Bhi Jise Zabt-e-Faghan Samjha Tha Mein

Thi Kisi Darmanda Rehro Ki Sada'ay Dardnaak
Jis Ko Awaz-e-Raheel-e-Karwan Samjha Tha Mein ...

No comments:

Post a Comment