Barson ke bad dekha ek shaks dil ruba sa,
Ab zehan mein nahein he per nam tha bhala sa,
Abroo khinche kinche se ankhein jhuki jhuki si,
Batein ruki ruki si, lehja thaka thaka sa,
Alfaz the keh jugnu awaz ke safar mein,
Bun jaye jangalon mein jis tarha rasta sa,
Khuwabon mein khuwab us ke, yadon mein yad us ki,
Nendon mein ghul gaya ho jese keh rat-jaga sa,
Pehle bhe log aaye kitne hi zindage mein,
Woh her tarah se lekin auron se tha juda sa,
Pichli muhabaton ne woh na-muradiyan dein,
Taza rifaqaton se dil tha dara dara sa,
Kuch yeh keh mudaton se hum bhe nahein the roye,
Kuch zehar mein bujha tha ehbab ka dilasa,
Phir yun hua keh sawan ankhon mein aa basay the,
Phir yun hua ke jese dil bhe tha aabla sa,
Ab such kahen to yaaro hum ko khabar nahein the,
Bun jayega qayamat ek waaqea zra sa,
Tewar the berukhi ke andaaz dosti ke,
Woh ajnabi tha lekin lagta tha aashna sa,
Hum dasht the keh daryam hum zehar the keh amrit,
Naahaq tha zoam hum ko jub woh nahein tha pyaasa,
Hum ne bhi us ko dekha kal shaam ittefaqan,
Apna bhi haal he ab logo faraz ka sa.

No comments:
Post a Comment