Thursday 27 February 2014

Dil-e-Naadaan Tujhe Hua Kya hai

Dil-e-Naadaan Tujhe Hua Kya hai ?
Aakhir is dard Ki Dawa Kya hai ?

Hum Hain mushtaaq aur woh bezaar,
Ya Ilaahi ! Yeh Maajra kya hai ?

Main bhi Moonh Mein zabaan rakhta hoon,
Kaash ! Poocho K , Muddaa kya hai ?

Jab k tujh bin Nahi Koi Maujood,
Phir ye hangaama, Ay Khuda kya hai ?

Ye Pari Chehara Log kaise hain ?
Ghamza-o-Ishwa-o-'adaa kya hai ?

Shikan-e-zulf-e-Ambari Kiyon hai ?
Nigah-e-Chashm-e-Soorma sa kya hai ?

Sabza-o-Gul kahaan seaaye haiN ?
Abar Kya Cheez hai, Hawa kya hai ?

Hum ko un Se Wafa ki hai Umeed,
Jo Nahi Jaante wafa kya hai,

Haan Bhala Kar Tera Bhala Ho Ga,
Aur Darvaish Ki Sadaa Kya hai ?


Jaan Tum Par Nisaar karta hoon,
Main Nahi Jaanta duaa kya hai ?

Main Ne Maana K kuch Nahi 'Ghalib' 
Muft haath Aaye to Bura kya hai ?

No comments:

Post a Comment