Thursday, 27 February 2014

Hazaaron Khuwaahishein Aisi K

Hazaaron Khuwaahishein Aisi K 
Har Khuwaahish Pay Dam Niklay,

Bohat Niklay Mere Armaan 

Lekin Phir Bhi Kam Niklay,

Darray Kiyun Mera Qatil Kya 

Rahay Ga Us ki Gardan Par,

wo khun jo chashm-e-tar say 

umar_bhar yun dam-ba-dam niklay,

Nikalna khuld say adam 

ka suntay aaye hain lekin

bohat be-aabru ho kar tere 

koochay say ham niklay,

Bharam khul jaye zalim 

tere qaamat ki daraazi ka

Agar is turra-e-purapech-o-kham 

ka paich-o-kham niklay

magar likhwaye koi us ko 

khat to ham say likhwaye

hui subah aur ghar say 

kan par rakh kar qalam niklay

hui is daur mein mansoob 

mujh say bada-ashmi

phir aaya wo zamana jo 

jahan se jam-e-jam niklay

hui jin say tawaqqo khastagi 

ki daad panay ki

wo hum say bhi ziyada 

khasta-e-teg-e-sitam niklay,

Muhabbat mein nahi hai 

farq jeenay aur marnay ka,

usi ko dekh kar jeetay hain 

jis kafir pay dam niklay,

zara kar jor sine par ki 

tir-e-pursitam niklay,

Jo wo niklay to dil niklay, 

jo dil niklay to dam niklay

Khuda k wastay parda na 

kaa'bay say utha zalim

kaheen aisa na ho yaan bhi 

wahi kafir sanam niklay

kahan mai_khanay ka 

darwaza 'ghalib' aur kahan waiz

par itna jantay hain kal 

wo jata tha k ham niklay ....

No comments:

Post a Comment