Tuesday, 11 February 2014

Dukh mein doobe hoye lamhoo ki tarha lagti hai

Dukh mein doobe hoye lamhoo ki tarha lagti hai

Woh mujhe shaam ke saayon ki tarhan lagti hai


Aik karwat mein bandhi haanp rahi hai kab se

Raat beemar parindoo ki tarhan lagti hai


Ess mein bus ja tu hamesha ke liye jaan e hayat

Tu meri aankh ko khawaboon ki tarhan lagti hai


Aik lamhe ko sulajhti hai ulajh kar khud se

Zindagi bhi Teri zulfoon ki Tarhan, lagti hai


Mere hontoo pe utare woh kabhi apna badan

Aik larki jo duaoon ki tarhan lagti hai

No comments:

Post a Comment