Thursday, 27 February 2014

Ik Ik patthar jor ke main ne jo deevaar banaai hai

Ik Ik patthar jor ke main ne jo deevaar banaai hai,
Jhaankun us ke piche to rusvaai he rusvaai hai,

Youn lagta hai sote jaagte auron ka mohtaaj hun main,
Aankhein meri apni hain par un mein neend paraai hai,

Dekh rahe hain sab hairat se neele neele paani ko,
Puche kaun samandar se tujh mein kitni gehrai hai,

Sab kehte hain ik jannat utri hai meri dharti par,
Main dil mein sochun shayad kamzor meri benaai hai,

Bahir sehan mein peron par kuch jalte bujhte jugnu thay,
Hairat hai phir ghar ke andar kis ne aag lagaai hai,

Aaj hua maaloom mujhe is sheher ke chand sayaanon se,
Apni raah badalte rehna sabse bari danaai hai,

Torr gaye paimaan-e-wafa is daur mein kaise kaise log,
Ye mat soch 'Qateel' ke bas ik yaar tera harjaai hai ...

No comments:

Post a Comment