Thursday, 27 February 2014

Ye Na Thi Humari Qismat K Wisaal-e-Yaar Hota

Ye Na Thi Humari Qismat K Wisaal-e-Yaar Hota,
Agar Aur Jeetay Rehtay Yehi intezaar hota,

Tere wade par jiye ham to ye jaan jhoot jana,
k khushi se mar na jaate agar aitbar hota,

teri nazuki se jana k bandha tha Ehd-e-booda,
kabhi tu na tor sakta agar ustawaar hota,

koi mere dil se pooche tere teer-e-nimakash ko,
ye khalish kahan se hoti jo jigar k par hota,

ye kahan ki dosti hai k bane hain dost naseh
koi charasaz hota, koi gamgusar hota,

rag-e-sang se tapakta wo lahu k phir na thamta,
jise gam samajh rahe ho ye agar sharar hota,

gam agarche jangusil hai, pe kahan bachen k dil hai,
gam-e-ishq gar na hota, gam-e-rozgar hota,

kahun kis se main k kya hai, shab-e-gam buri bala hai,
mujhe kya bura tha marna agar ek bar hota,

hue mar k ham jo ruswa, hue kyon na garq-e-dariya,
na kabhi janaza uthta, na kahin mazar hota,

use kiun dekh sakta ki yagana hai wo yakta,
jo dui ki bu bhi hoti to kahin do char hota,

ye masail-e-tasawuf, ye tera bayan 'Ghalib',
tujhe ham wali samajhte, jo na baada-khwar hota ...

No comments:

Post a Comment