Maano To Maano ! Mannat-e-Niaz-e-Aarzu,
Parrho To Parrho ! Aaj se Namaz-e-Aarzu,
Usi se Aagay ! Hayal hai, Sabar Ka Bayabaan,
Khatm Jahan pe Hota hai, Aghaaz-e-Aarzu,
Unhi ki GoOnj Phelti hai, DoOr Tak Miyan,
Khamosh Hua Karte hen, Jo ! Saaz-e-Aarzu,
Hoti hai ! Is k Peeche, Koi Qeemti Chubhan,
Bekaar Nahi hota hai, Jawaz-e-Aarzu,
Sanam ! Kisi Bhi Shakal me, MojoOd Mile ga,
Jahan Bhi Chal k Dekh lO ! Hijaz-e-Aarzu,
Anfaas Ki Talaash hai, Umeed-e-iKhtlaat,
Arwaah ki Qana'at hai, Parwaz-e-Aarzu,
Khwahish-e-Ra'naai ki Hon, Taaj Poshiyaan,
Sharminda-e-Tabeer Ho, Gar ! Naaz-e-Aarzu,
Bazurg Khandan ka, Wahid Kafeel hai,
Khamosh Tab'a ! Rehta hai, Ayyaz-e-Aarzu,
DhoOl k Buton ne, Isko ! Di Nahi Panah,
Pataal me Chupa ge Ab ! Ye Raaz-e-Aarzu,
RAZAB ! Aqal k Waste, Sahulatein Liye,
Maanoos-e-Chashm Rehta hai, Ejaaz-e-Aarzu ...
No comments:
Post a Comment