Tuesday, 11 February 2014

Nahi tera nasheman qasr-i-sultani ke gumbad par

Nahi tera nasheman qasr-i-sultani ke gumbad par
tu shaheen hai baseera kar pahadon ki chataanon par

Tou shaheen hay parvaz hay kam taira
Taray samnay aasman aor bhe hain


Parvaz hay donoon ke ise aik fiza main
Kargas ka jahan aor hay, Shaheen ka jahan aor

behtar hai bechare mamolon ki nazar se
poshida rahain baz ke ehwal o muqamat

shaheen kabhi parwaaz se thak ker nheen girta
pur dam hy agr tu to nhe khatra e uftad

uqabi ruh jub bedar hoti hai jawanon main
nazar ati hai un ko apni manzil asmanon main

Chiroon ki tarah har dannay per girta hay kiow
perwaz ko itna buland rukh keh saheen ho jaye

Parindon ki dunya ka darveesh hoon main
ki shaheen nahin banata aashiyana

Tundi-e-Baad e Mukhalif say na ghabra aey Auqab
Yeh to chaltee hay tujhay ooncha oranay kay liyey

Aye Tayer Lahoti, us rizq se maut acchi.
Jis Rizq se aati ho parwaz mein Kotahi


Khuddi ko ker buland itna ke har taqdeer se pehley
Khuda bande se khood pooche bata terri razza kia hai

MANZIL-O-MAQSOOD QURAN DEEGAR AST
RASM-O-AEENe MUSALMAN DEEGAR AST

No comments:

Post a Comment