Tuesday, 11 February 2014

Nigah-e-faqr main shaan-e-sikandari kya hai?

Nigah-e-faqr main shaan-e-sikandari kya hai?
Khiraaj ki jo gada ho, wo qaiseri kya hai?

Falaq nay ki hai ata un ko khaajgi kay jinhain
Khabar nahin rawish-e-banda parwari kya hai?

Kissey nahin hai tamanna-e-sarwari lekin
Khudi ki mout ho jis main, wo sarwari kya hai?

Buton say tujh ko umeedain, Khuda say no meedi
Mujhey bata tou sahi aur kaafri kya hai?

Aey Tair-e-Lahooti, uss rizq say mout achi
Jis rizq say aati ho, parwaz main kotahi

Aain-e-jawanmardi, haq goi-o-bay baaqi
Allah kay sheron ko, aati nahin rubaahi

Hai Fikr mujhey misra-e-saani ki zyada
Allah karey tujh ko ata Fuqr ki talwaar

Jo haath main ye talwaar bhi aa jayey tou Momin
Ya Khalid-e-Janbaaz hai, Ya Haider-e-Karrar

 Wo kal kay gham-o-aish per kuch Haq nahin rakhta
Jo aaj khud afroz-o-jigar soz nahin hai

Wo qaum nahin laiq-e-hangama-e-farda
Jis qaum ki taqdeer main imroz nahin hai

Paani paani ho gaya sun ker Qalander ki ye baat
Tu jhuka jab ghair key aagey, na tann tera na mann

Apney mann main dub kay pa ja suragh-e-zindagi
Tu agar mera nahi banta, na ban, apna tou bann

 Ho terey bayaban ki hawa tujh ko gawara
Iss dasht say behter hai na Dilli na Bukhara

Jis simt main chahey, sift-e-sal-e-rawan chal
Wadi ye hamari hai, wo sehra bhi hamara

Ghairat hai bari cheez jahan-e-tag-o-dou main
Pehnati hai derwaish ko taj-e-sir-e-dara

Afraad kay haathon main hai akwaam ki taqdeer
Her fard hai millat kau muqaddar ka sitara

Deen haath say dey ker agar azad ho millat
Hai aisi tijarat main Musalaman ka khasara

Kabhi aey, Naujawan Muslim! taddabur bhi kiya tu ney?
Wo kya gardon tha tu jis ka hai ik toota hua tara

Tujhey uss qaum nay pala hai aaghosh-e-mohabbat main
Kuchal dala tha jis nay paon main taaj-e-sir-e-dara

Hawa-e-byaban say hoti hai kaari
Jawanmard ki zarbat-e-ghaaziyanan

Paltna, jhapatna, jhapat kay palatna
Lahu garm rakhney ka hai ik bahana

Parindon ki duniya ka derwesh hon main
Kay shaheen banata nahin aashiyana

Utha mat khana-e-shesha-e-farang kay ihsaan
Sifaal-e-Hind say meena-o-jaam paida ker

Hazar chasshmey teri sang-e-rah say phootey
Khudi main doob kay zarb-e-kaleem paida ker

Nahin tera nash-e-mann kasr-e-sultani kay gumband per
Tu Shaheen hai basera ker paharon ki chatanon per

Aghyaar kay ufkaar-o-takhayyul ki gadai
Kya tujh ko nahin apni khudi tak bhi rasai?

Khudi ko ker buland itna kay her taqdeer say pehley
Khuda bandey say khud poochey bata teri raza kya hai

Ghulami main na kaam aati hain shamsheerain, na tadbeerain
Jo ho shok-e-yaqeen paida tou cut jaati hain zanjeerain

Koi andaza ker sakta hai iss kay zor-e-bazu ka?
Nigha-e-mard-e-momin say badal jati hain taqdeerain

No comments:

Post a Comment