Tuesday, 11 February 2014

Har Lehza Hai Moomin Ki Nayee Shaan Nayee Aaan

Har Lehza Hai Moomin Ki Nayee Shaan Nayee Aaan;
Guftar Mein Kirdaar Mein Allah Ki Burhaan.


Qahhari-o-Ghaffari-o-Quddusi-o-Jabrood;
Yeh Chaar Anasir Ho Tho Banta Hai Musalmaan.


Hamsaaya-e-Jibreel-e-Ameen Banda-e-Khaki;
Hai Iska Nasheman Na Bukhaara Na Badakhshaan.


Ye Raaz Kisiko Nahin Maalum Ke Moomin!
Qari Nazar Aata Hai; Haqeekat Mein Hai Qur’an.


Qudrat Ke Maqasid Ka Ayyar, Iske Iraade;
Duniya Mein Bhi Mizaan, Qayamat Mein Bhi Mizaan.


Jis’se Jigar-e-Laala Mein Thandak Ho Wo Shabnam;
Daryawon Ke Dil Jis’se Dahel Jaaye Wo Toofaan.


Fitrat Ka Sarood-e-Azal Iske Shab-o-Roz;
Aahang Mein Ekta, Sifat-e-Sura-e-Rehmaan


Bante Hain Meri Kargah-e-Fikr Mein Anjum;
Le Apne Muqaddar Ke Sitare Ko Tu Pehchaan.

No comments:

Post a Comment