Tuesday, 11 February 2014

Na Tu Zameen Ke Liye Hai Na Aasmaan Ke Liye

Na Tu Zameen Ke Liye Hai Na Aasmaan Ke Liye
Jahaan Hai Tere Liye, Tu Nahin Jahan Ke Liye


Ye Akal-o-Dil Hai Sharar Shola-e-Mohabbat Ke
Wo Khaar-o-Khas Ke Liye Hai, Ye Nestaan Ke Liye


Maqaam-e-Parwarish-e-Aah Wa Naala Hai Ye Chaman
Na Sair-e-Gul Ke Liye Hai Na Aashiyaan Ke Liye


Rahega Raavi-o-Neel-o-Faraat Mein Kab Tak?
Tera Safeena Ke Hai Bahr-e-Bekaraan Ke Liye


Nishaan-e-Raah Dikhaate The Jo Sitaron Ko
Taras Gaye Hain Kisi Mard-e-Raahdan Ke Liye


Nigah Buland, Sukhan Dilnawaaz, Jaan Pur Soz
Yahi Hai Rakht-e-Safar Meer-e-Kaarwaan Ke Liye


Zara Si Baat Thi Andesha-e-Ajam Ne Use
Badha Diya Hai Faqat Zaib-e-Daastaan Ke Liye


Mere Gulu Mein Hai Ek Nagma-e-Jibraeel Aashob
Sambhal Kar Jise Rakha Hai La Makaan Ke Liye

No comments:

Post a Comment