Pehley saleeb-e-dard ki hum sey zuban li,
Phir us ney ja k baat zamaney ki maan li,
Kal sham yon hoa k hawaon k zikar par,
Bujhtey hoay chirag ney jalney ki thaan li,
Wo peysh peysh aaj saf-e-dushmana may hay,
Kal jis ney bheek maang kar hum sey amaan li,
Phir faakhta ney rotey hoay alwida kaha,
Basti may jab uqaab ney chirya ki jan li,
Jo khud ko keh raha hay hawaon ka tajwar,
Us ney to hum say mang kar itni uraan li,
Shayad Mohsin kharidney aaye wo aik din,
So hum ney zindagi sey wafa ki dukaan li...

No comments:
Post a Comment