Thursday, 27 February 2014

Sab Kahaan Kuch Lala-o-Gul Mein Numayaan Ho Gain

Sab Kahaan Kuch Lala-o-Gul Mein Numayaan Ho Gain.
Khaak mein kya suratein hongi k pinhaan ho gain,

Yaad thi hamko bhi ranga -ang Bazm-Aaraiyan,
Lekin ab Naqsh-o-Nigaar-e-Taaq-e-Nisiyaan ho gain,

Theen Banatunnash-e-gardun din ko parde mein Nihaan,
Shab ko un k ji mein kya ai k uriyan ho gain

qaid mein yaqub ne li jo na yusuf ki khabar
lekin ankhein rauzan-e-diwar-e-zindan ho gain

sab raqibon se hon nakhush, par zanan-e-misr se
hai zulaikha khush ke mahw-e-mah-e-kanan ho gain

ju-e-khun ankhon se bahne do ki hai sham-e-firaq
main ye samjhunga k shamaen ho farozan ho gain

in parizadon se lenge khuld mein ham intaqam
qudrat-e-haq se yahi huren agar wan ho gain

nind usai hai, dima uska hai, ratein uski hain
teri zulfein jiske bazu par parishan ho gain

main chaman mein kya gaya, goya dabistan khul gaya
bul-bulein sun kar mere nale, gazalkhwan ho gain

wo nigahein kyun hui jati hain yarab dil k par
jo meri kotahi-e-qismat se mizshgan ho gain

bas k roka main ne aur sine mein ubhaen pai ba pai
meri ahen bakhiya-e-chak-e-gariban ho gain

wan gaya bhi main to unki galiyon ka kya jawab
yad thi jitni duain, sarf-e-darban ho gain

janfiza hai bara, jis k hath mein jam a gaya
sab lakirein hath ki goya rag-e-jan ho gain

ham muwahihad hain, hamara kesh hai tark-e-rusum
millatein jab mit gain, ajza-e-iman ho gain

ranj se khugar hua insan to mit jata hai ranj
mushkilein mujh par pari itni ke asan ho gain

yun hi gar rota raha 'Ghalib', to ae ahl-e-jahan
dekhna in bastiyon ko tum ki wiran ho gain ...

No comments:

Post a Comment