Thursday 27 February 2014

Us Bazm Mein Mujhe Nahi Banti haya kiye

Us Bazm Mein Mujhe Nahi Banti haya kiye,
Baitha raha agarche ishare hua kiye,

dil hi to hai siyasat-e-darban se dar gaya,
Main Urr Jaoon dar se tere bin sada kiye,

rakhta phiroon hoon khirqa-o-sajda rahan-e-may,
Muddat hui hai daawat-e-aab-o-hawa kiye,

Be-sarfa hi Guzarti hai, ho garche umar-e-khizar,
hazrat bhi kal kahein ge k ham kya kiya kiye,

Muqaddar ho to khak se Poochoon k ay laim,
Tu ne wo Ganj haye giranmaya kya kiye,

kis roz tu hama-tan na tarsha kiye adu,
kis din hamare sar pe na are chala kiye,

sohbat mein gair ki na pari ho kahin ye khu,
dene laga hai bose bagair Iltejaa kiye,

zid ki hai aur bat magar khu buri nahi,
bhoole se us ne saikaron wade-wafa kiye,

'Ghalib' Tumhee'n kaho k mile ga jawab kya ?
Maana k tum kaha kiye aur wo suna kiye ...

No comments:

Post a Comment