Thursday 27 February 2014

Sar-Gashtagi Main Aalam-E-Hasti Se Yaas Hai

Sar-Gashtagi Main Aalam-E-Hasti Se Yaas Hai,
Taskeen Ko De Naveed Ke Marne Ki Aas Hai,

Leta Nahi Mere Dil-E-Aawara Ki Khabar,
Ab Tak Wo Jaanta Hai Ke Mere Hi Paas Hai,

Kije Bayaan Suroor-E-Tap-E-Gham Kahaan Talak,
Har Mu Mere Badan Pe Zabaan-E-Sipaas Hai,

Hai Wo Guroor-E-Husn Se Begana-E-Wafa,
Har-Chand Us Ke Paas Dil-E-Haq-Shanaas Hai,

Pi Jis Qadar Mile Shab-E-Mahtab Main Sharaab,
Is Balgami Mizaaj Ko Garmi Hi Raas Hai,

Har Yak Makaan Ko Hai Makeen Se Sharaf "Asad"
Majnu Jo Mar Gaya Hai To Jungal Udaas Hai !

No comments:

Post a Comment