Thursday 27 February 2014

Shoq Har Rang Raqeeb-E-Sar-O-Samaan Nikla,

Shoq Har Rang Raqeeb-E-Sar-O-Samaan Nikla,
Qais Tasweer Ke Parde Main Bhi Uriyaan Nikla,

Zakhm Ne Daad Na Di Tangi-E-Dil Ki Ya Rab,
Teer Bhi Seena-E-Bismil Se Par Afshaan Nikla,

Bu-E-Gul Naala-E-Dil Dud-E-Charaag-E-Mehfil,
Jo Teri Bazm Se Nikla So Parishaan Nikla,

Dil-E-Hasrat Zada Tha Maaida-E-Lazzat-E-Dard,
Kaam Yaaron Ka Ba-Qadar-E-Lab-O-Dandaan Nikla,

Thi Nauaamoz-E-Fana Himmat-E-Dushwaar Pasand,
Sakht Mushkil Hai Ki Ye Kaam Bhi Aasaan Nikla,

Dil Main Phir Giriya Ne Ik Shor Uthaya 'Ghalib'
Aah Jo Qatra Na Nikla Tha So Tufaan Nikla ...

No comments:

Post a Comment